28 Jul 2011

Death Festival...

Meri mayyat ke saamne se yu chup-chup kyun ja raha hai,
Ye toh jashn hai meri maut ka, e ajnabee tu bhi shamil ho ja.

Chal khod ab kabar meri aur utha khanjar haath me,
Kar vaar laash par meri aur tu qatilon se bhi bada qatil ho ja.

Dekhe honge kayi rang tone zindgi me in aankho se,
Aa aaj mere is khoon ke rang se khud ko bhigo ja.

Tere haath me rakhe paimaane ko aaj tukdo me badal,
Gar baki hai khwaish toh in tukdo ko mere dil me chubho ja.

Nochta kyun nahi tu laash ko meri e dariya dil,
Ye khanjar le aur aaj darindgi ke tu hawaale ho ja.

Is kadar lahuluhaan kar fizaon ko, ki teri saanso se khoon tapke,
Aaj meri laash ko tu mere he khoon me dubo ja.

Thak jaaye gar tu toh cheel kavuon ko daavat de,
Tu bhi toh bukha hoga aa tu bhi is daawat me shamil ho ja.

Gar ho rahi hai band palke toh aa meri kabar ke saaye me,
Kar ehsaas sukoon-e-kabar ka aur tu meri aagosh me so ja.

Jab achanak teri neend khule toh naaraj na hona,
Ye in fizaao ki qatilana hasi hai tu bhi isme shamil ho ja.

Voh dekh meri kabar par har sham jashn manane wala qafila aa raha hai,
Tu kis intezaar me hai fir se usi haiwaniyat ke tu rang me kho ja.

Gar dekh sakta hai toh dekh aaj meri laash ka hasra,
Par pehle tu apne dil me basey dard se aazaad ho ja.

Yaha mehfil me jaam pathar nahi meri laash per tode jaate hai,
Chhod un phoolon ki rumaniyat ko aur kaanch ke khooni khel me shamil ho ja.

Ye jo noch raha hai meri aankhe issney aankho se dhokha khaya hai,
Teri nazron ko bewafai hui ho gar toh tu bhi iska saathi ho ja.

Yaha jo kured raha hai mera dil, ye toh dil ka bimaar hai,
Tere dil pe ho gar chot koi toh tu bhi aaj vehsi ho ja.

Abhi dekhna ye kafila mujhe rondta hua jaaega,
Gar tujhe khwaish hai toh tu bhi is kafeele me shamil ho ja.

Ye soch kar ki meri ragon me khoon baki hai dafnaya nahi jaata hu main,
Gar na hai yakeen toh dekh kaat kar rag meri aur khoon ke rang me kho ja.

Mukaddar bhi mera khooni hai, dard bhi mera khooni hai,
Tadap raha hai jo bahar pada dil mera, tu bhi aisa khooni ho ja.

Par ye kya tu toh darne laga hai is manjar ke aagaaz bhar se,
E ajnabee yuh ish tarah tu dar ke hawaale na ho ja.

Kahi soch toh nahi raha hai tu yaha se jaane ki,
Pagal na ban, le khanjar aur fir se suru ho ja.

Dekh meri laash ke kayi tukde ab bhi salamat hai,
Bhar aag seene me aur tu khud he aaj ek khanjar ho ja.

Le kachot mere jism ko aur mujhe aazaad kar,
Meri har rag se nikalte is khoon se tu aaj khud ko bhigo ja.

Is tarah bikheir mujhe ki mitti bhi mujh me ghul jaaye,
Aur fir is mitti ko mere khoon se bane dariya me dubo ja.

Mar toh pehle he gaya tha main, tu fikar na kar ilzaam ki,
Toone toh ek nek kaam kiya hai, ja ab sukoon bhari neend so ja.

Kehna zamane se, ki ek darinde ko anjaam tak pahucha kar aaya hu,
Laash bhi na chot pahuchaaye kisi ko, isliye mitti me mila kar aaya hu.

Tadapti hai laash, tapakta hai khoon aur tukde hota hai jism mera,
Duniya ki mehfilon ka toh pata nahi par laashon ke saaye me yahi hai jashn mera…

 

Image Slider