3 Aug 2011

Shak Gazida.....

Rat k pichle pahar mujy Tahir Javaid Mughal sahib ki aik book "hamsafar mil mil gai. Neand chon'k aj           rat ham se naraz thi, phir sahri ka waqt b qarib tha to socha k is ski warq gardani kar li jaye.

Mughal sahib ki chand tahriran main digest main aur noval "fasloon ka zahar parh chuki hun so "hamsafar" hath main latee zayada sochna nhi parha..

"Shak gazida" afsana parh k rat k iss parah main aik dafa phr yah sochne pe majboor ho gai k kiya orat hona koi juram ha??yah mardon ki society kiya kabhi orat ko brabri da sake ga?? Kiya orat vo izzat aur muqam hasil kar sake gi jis ka HUkam ha??

Mard ki fitrat budh parast ha…iss bat ko mard b tasleem karta ha to vo orat ki iss khubi ko kyun bhool jata ha k orat Tohid parasat/shohar parast hoti ha…????

Nojawani main mard agr dil lubhane ko muktaleef khawahishat pal sakta ha apni sochoon main azad ho sakta ha to orat kyun nhi??

"Arif" ko "rakshanda" pe yah shak tha k vo apne sath kuch zakahm zarur lai ha.. Arif k  shak ne Rakshanda k jisam per ja baja nishan choree use zakhmoon se tarbatar kiya..aik na karda gunah ko   tasleem karne pe majboor kiya...rakshanda pe orat ki azli kamzori havi hui us ne apni sochon ko izhar da kar apni jan bakshi karwai.

Mard agr iss bat pe yaqeen nhi rakhta k vo orat ki zindgi main anew ala pahla shakas nhi to kyun use apne nam se manssob karta ha….

Afsane main Mughal sahib ne mard ki  fitrat ko 2 mutzad pahloon main dikhaya ha."arif" jahan apne shak k bais "rakshanda" ki jan lanee k dar pe hota ha usi jagah "Sikahdar" jan pe khail k Rakshanda ko apna naam daita ha.

                                                                                                Mahvish Hina

Image Slider