16 Nov 2011

Ma ab jina chahti hun..



 Ajeeb khumar main rahti hun
datri hun aur sahti hun
bharam saree yah bikhar na jain
khwab puranee bhikhar na jain
ishq main manzil ko pana ha
naseeb se apny darti hun
nazrain chupati hun kudh se 
ahsasat ka bharam main bharti hun
hawain jo tawaf karti hun
khushbo-e-yar mahsoos karti hun
dar-o-baam yah intizar main hain
rahain tumhari takti hun
qaid hun rasmoo ki agosh main hun
didar-e-yar ko tarsti hun 
har pal main jiti aur marti hun
tumhari hi chahat main jakri hun
lafaz jo lab pe atee nahi
ankhoo main smoee rakhti hun
yadoon ka bhanwar ha har soo
unhin main doobi rahti hun
mikhatib hun tum se hina
main ab jina chahti hun
main ab jina chahti hun

~~~Hina~~~

Image Slider