29 Mar 2011

KHUDA AUR MOHABBAT...........REVIEW

Zamana Muhabat ki Thokar pe.....

"KHUDA AUR MUHABAT"



Hashim Nadeem ki aik anokhi tahreer jis ko parhnee se iss ki gahrai aur was'at ka andaza lagana bohat mushkil kam ha.iss  navol ko parhnee k bad muhabat ki hadoon ko dhundna mushkil ha..aj ki iss duniya main ham ne muhabat k maa'ni ko badal diya ha ___ iss noval ko parnee se aik shair be-sakhta yad aya ha.


"  Jisam   ki  bat   nhi    rooh  tak   jana   ha
lambi duri taa karnee main waqt to akhir lagta ha"


Muhabat jismoon ki gulam nhi muhabat ruhoon ka milaap ha. Muhabat ko bayan karnee k liyee lafzoon ko dhundna kathin ha.
iss navol k kardar shaid kuch afsanvi lagain lakin yah Qari ko khud se wabasta rakhtee hain. iss k dilkash wa'qyat Qari ko apni giraft main rakhtee hain. jadid door k tanazir mein jis tarha mazhab ko muhabat se bayan kiya  gya_ aik khubsoorat andaz aur achuta tajarba tha.
           
 RAHMATUALLAH ka aik chota sa kardar jis trha mazhab ko duniya se jor k gaya ha aik dafa Qari ko sochnee pe majboor zaroor karta ha.

Noval main International issues ko jis tarha discuss kiya gaya aur dalail diyee, writer ki aik jurat'mandaana kavish ha.

Eman, AbduAllah, Hamad, Molvi sahab, Sarah aysee kardar hain jin ko ham apnee ird'gird dhundnee ki koshish kartee hain aur aj k dor main 
in ka milna mushkil ha.
        
 Iss noval ne mari soch ko waa'sat di ha aur "KHUDA" aur " MUHABAT" k rabt k gahree naqoosh chohree hain.

                                      

                                                                                                                Mahvish Hina

Head of Economics Department

Asian Group of Colleges

Image Slider