23 Oct 2011

Jan-E jana...!

Jana...!
Janty ho,
Meri shairi parhty samy...
Tumhare chand aansOo...
Mere lafz anmol bna dety hyn
Mujhe motbar bna dety hyn
Ab...
Bus yahi khawahish hai...
Men in chamakty motiyon ko...
Ungaliyon ki poron se sjana chahti hn,
Apni hathaki pe uthana chahti hun...
Rukhsar chuny ka bahana chahti hun...
Phir uss ehsas men fana chahti hun...
Ab, bus yahi khawahish ha..
Inhen apne honthon se uthana chahti hun,
Insi se apni mang sajana chahti hun....

Image Slider