Zamana Muhabat ki Thokar pe.....
"KHUDA AUR MUHABAT"
Hashim Nadeem ki aik anokhi tahreer jis ko parhnee se iss ki gahrai aur was'at ka andaza lagana bohat mushkil kam ha.iss navol ko parhnee k bad muhabat ki hadoon ko dhundna mushkil ha..aj ki iss duniya main ham ne muhabat k maa'ni ko badal diya ha ___ iss noval ko parnee se aik shair be-sakhta yad aya ha.
" Jisam ki bat nhi rooh tak jana ha
lambi duri taa karnee main waqt to akhir lagta ha"
Muhabat jismoon ki gulam nhi muhabat ruhoon ka milaap ha. Muhabat ko bayan karnee k liyee lafzoon ko dhundna kathin ha.
iss navol k kardar shaid kuch afsanvi lagain lakin yah Qari ko khud se wabasta rakhtee hain. iss k dilkash wa'qyat Qari ko apni giraft main rakhtee hain. jadid door k tanazir mein jis tarha mazhab ko muhabat se bayan kiya gya_ aik khubsoorat andaz aur achuta tajarba tha.
RAHMATUALLAH ka aik chota sa kardar jis trha mazhab ko duniya se jor k gaya ha aik dafa Qari ko sochnee pe majboor zaroor karta ha.
Noval main International issues ko jis tarha discuss kiya gaya aur dalail diyee, writer ki aik jurat'mandaana kavish ha.
in ka milna mushkil ha.
Iss noval ne mari soch ko waa'sat di ha aur "KHUDA" aur " MUHABAT" k rabt k gahree naqoosh chohree hain.
Mahvish Hina
Head of Economics Department
Asian Group of Colleges
No comments:
Post a Comment
ADD YOUR COMMENT HERE...